school ke din kitne aache the
bado ki duniya mein hum sab bachhe the
jhooti duniya mein hum sab saache the
school ke din kitne aache the
har chhoti baat par roote, muskurate the
doston ko kabhi mein , kabhi woh mujhe manate the
kabhi ladte , kabhi dost fir se ban jate the
naraaz hokar bhi kabhi doston ka bura na chahte the
class mein hi chori se doston ka khaana kha jana
usko pata chalne par kisi aur ka naam laga na
fir baad mein usse bata dena aur canteen mein usse khilana
par na sudhar ke agle din bhi yehi kissa dohrana
woh teacher ke saamne unki tareef karna
par doston ke beech mein unka hi majak udana
aur peeche beth kar teacher ka cartoon banana
aur kabhi pakde jaane par saaf mu kar jana
padhne se hamesha jii churana
par khelne ko hamesha tayar rehna
mauj masti karne ke liye bahana bana
aur moka milte hi school ke bahane ghum fir ke aana
school ke din aab beet chuke hai
bado ki duniya mein hum bhi bade ho gaye hai
khushi iss baat ki hai dost aabhi bhi aapne hai
logo ke saath kaise bhi ho aapas mein aabhi bhi baache hai...
Thursday, June 28, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
nice poem....
good job... keep it up
this is another nice poem by mohit... reading these lines reminded me of those skul dayz.. wch now i desc in one word as "tension-free"
nice work.. commenting on both clg and skul life poem.. i wuld like to add.. both form of life are old memories of our golden days.. but you made a very good distinction between both..
Post a Comment