Friday, June 29, 2007

corniest dialogues from Bollywood

Kuttay, Kammenay mai tumhe jaan se maar doonga
Mai tumhara ehsaan zindagi bhar nahin bhuloonga
Itnay paisay tum kahan se laaye?
Main tumharay bina mar jaa-oongi
Bacchhhaaaaaooooo.....
Yeh anyay hai bhagwan
Bataoo, heeray kahan hai
Tum mere liye mar chuke ho.
Police mere peechay lagi hui hai
Mai tumharay bachhe ki maa ban-nay waali hoon.

canteen ki yaadein.....

yaadein canteen ki bahut sari hai
kyunki college ki aadhi zindagi wahin gujari hai
lectures attend karne se pehle canteen jana jarori hai
kyunki bachpan se hi saare dost paet pujari hai
kisi ko nahi pata hota tha ki bill chukane ki kisi bari hai
par sabko darr hota tha ki kahin meri hi to nahi katne ki baari hai
gaane sunna , gossip karna , faltu ki batein karna fitrat hamari hai
hum aakele nahi hamare sabhi doston ko bhi yehi bimaari hai
Ek samosa aate hi sabhi ka uspar hi jhapatna aadat hai
kyunki aakela koi pura samosa kha jaye yeh toheen hamari hai
kisi bhi fatchi ko dekh kar uss par line marna koshish hamari hai
fir ussi topic ko lekar batein karte karte jaghadna majboori hamari hai
yeh dekh kar uss ladki ka akadna aur itrana aada ladkiyon ki purani hai
sabke koshish marne par bhi uska kisi aur se pat jana badnaseebhi hamari hai
aise hi hassi khushi mein kat gayi college ki duniya saari hai
fir bhi in yadoon ko yaad karke honto par hansi hamari hai......

Thursday, June 28, 2007

The new gadget in town

Apple Inc.'s iPhone is the latest of gadget introduced today in US and might hit INDIA by 2008. The iPhone is a multimedia and Internet-enabled mobile phone by Apple. The iPhone's functions include those of a camers phone, a multimedia player, mobile phone, and Internet services like e-mail, text messaging, web browser, Visual Voicemail and wireless connectivity. iPhone input is accomplished via touchscreen with virtual keyboard and buttons.

Apple has a history of being cutting-edge: it invented the PC as we know it today, and back in 1983 it was the first organization to introduce a personal computer that used the graphical user interface. The company went on to introduce the Mac in 1984, the Power Book 100 in 1991, and of course the iPod in 2001. Its latest device continues this tradition of innovation.

While smart phones that allow consumers to listen to music, surf the Net and make phone calls already exist, Apple's new venture aims to take the concept of user friendliness to levels that no other phone has achieved, by coupling a revolutionary multi-touch user interface with the convenience of consolidation

Now the big question .. how much it will cost ? so the answer is its around 400 to 500 US dollars and the price estimated for indian markets is Rs 24000 ( that depends on the introduction of iPhone in INDIA next year )

school ke din.....

school ke din kitne aache the
bado ki duniya mein hum sab bachhe the
jhooti duniya mein hum sab saache the
school ke din kitne aache the

har chhoti baat par roote, muskurate the
doston ko kabhi mein , kabhi woh mujhe manate the
kabhi ladte , kabhi dost fir se ban jate the
naraaz hokar bhi kabhi doston ka bura na chahte the

class mein hi chori se doston ka khaana kha jana
usko pata chalne par kisi aur ka naam laga na
fir baad mein usse bata dena aur canteen mein usse khilana
par na sudhar ke agle din bhi yehi kissa dohrana

woh teacher ke saamne unki tareef karna
par doston ke beech mein unka hi majak udana
aur peeche beth kar teacher ka cartoon banana
aur kabhi pakde jaane par saaf mu kar jana

padhne se hamesha jii churana
par khelne ko hamesha tayar rehna
mauj masti karne ke liye bahana bana
aur moka milte hi school ke bahane ghum fir ke aana

school ke din aab beet chuke hai
bado ki duniya mein hum bhi bade ho gaye hai
khushi iss baat ki hai dost aabhi bhi aapne hai
logo ke saath kaise bhi ho aapas mein aabhi bhi baache hai...